Schools Me Summer Vacations Ki Wajah Se Shahar Me Public Swimming Pools Me Classes Ki Demand Badh Gayi Hain.
2 Bachchon Ke Father Sudhir Mahale Ne Kaha, Unhe Unke Hometown Me Apne Father Ke Saath Talabon Me Swimming Karna Yaad Hai, Aur Yhi Wo Apne Bachchon Ke Saath Karna Chahte Hain. Halanki, Bachche Week Me Do Baar Swimming Ke Liye Jaate Hain, Weekends Me Wo Unhe Company Dene Jaate Hain.
Prices Pocket Friendly Hain And Management Hygiene And Safety Ke Rules Follow Karne Ke Baare Me Sakht Hai.
Swargate Me Nihu Phule Swimming Tank, Poore Din Students Ke Swimming Seekhne Ke Liye 15 Batches Aayojit Kar Raha Hai.
Pool Manager, Trainer And Competitive Coach Ka Role Nibhate Huye Harshad Inamdar Ne Kaha Ki Unhone Hamesha Summer Months Me Bachchon Ko Public Pools Me Bheed Lagate Dekha Hai, Iss Saal Kai Aur Adults Bhi Swimming Classes Ke Liye Sign Up Karna Chahte Hain.
Lagatar Garmi Ke Karan Pahli Baar Swimming Karne Wale Log Aaye, Jinhone Poore Month Apne Skills Ko Improve Karna Jaari Rakha. “ Ab Basic Learning Or Level 1 Induction Ka Season Hai, Jahan New Beginners Ko Sikhaya Jata Hai Ki Kaise Tairna Hai, Tairna Hai Aur Paani Se Overwhelmed Nhi Hona Hai.
Level 2, Unhe Different Types Ke Strokes Seekhne Me Aage Le Jata Hai. Technical Aspect Me Mastering Karne Ke Baad, Level 3 Me Participants Ko Competitive Swimming Ki Duniya Se Introduce Karaya Jata Hai Aur Level 4 Me National And International Swimming Competitions Ke Liye Hard Core Training Hota Hai.
Inamdar Ne Kaha, “ Hamare Paas Vartman Me Keval 3 Aur 4 Me 70 Swimmers Hain, Jinme November Me Nirdharit National Competitions Ke Liye Practice Karne Wala Ak Paraplegic Participant Bhi Shaamil Hai.”
Kai Housing Societies Ke Residents Ki Iss Activity Ki Maang Ko Poora Karne Ke Liye Apne Swimming Pool Bhi Bhar Diye Hain. “ Paani Ki Katauti Jaari Hai, Hum Residents Ko Swimming Pool Ki Facility Se Door Nhi Rakh Sakte Isliye Last Week Pool Ko Bhar Diya Hai. Jo Log Pool Ka Use Karna Chahte Hain Unhe Pay Karna Hoga. Iss Income Ka Use Pool Ki Cleaning Aur Paani Ko Kharidne Ke Liye Kiya Jata Hai. Humne Safety Ke Liye Ak Lifeguard Bhi Appoint Kiya Hai.”
Halanki Aap Apne Dog Ko Public Pools Me Nahi Le Ja Sakte But City Ke Kuch Price Pool Dogs Ke Liye Hain. Pets Hangover Ki Founder Riya Shah Ne Kaha, “ Hamare Parisar Me Kharadi, Ghorpadi And Undri Me 3 Pool Hain, Jinhe Month Ki Starting Se Hi Pet Parents Ne Book Kar Liya Hai.
Subah 9 Baje Se Shaam 7 Baje Tak Yah Facility 12-15 Pets Ke Dile Daily 45 Minutes Ki Swimming Classes Provide Karti Hai Jahan Staff Unhe Pani Me Utarne Aur Tairne Kr Liye Encourage Karte Hai.
Shah Ne Kaha, “Yah Dogs Ki Personal Preference Ka Bhi Matter Hai, Kuchh Ko Swim Karna Pasand Nhi Hai Aur Kuch Ko Yah Bahot Pasand Hai. Hum Sessions Ke Liye Kai Labradors, German Shepherds And Beagles Laate Hain. Unke Pet Parents Swimming Gear Me Unke Saath Pool Me Shamil Hone Ke Liye Aate Hain. Hum Skin Infected Or Ticks And Fleas Wale Dogs Ko Pool Me Jana Allow Nahi Karte Hain. Saans Lene Me Problem Hone Wale Kutton Ko Bhi Iss Activity Se Bachna Chahiye.”
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi