HAU Hisar Mei Rahte Time 4 Years Old Mei Hi Start Ki Gai Swimming Veer Ka Passion Bann Jayegi Ye Koi Nhi Jaanta Tha. Teenage Taka Aate Aate Junior National Level Par Records Ke Sath Gold Medal Jeetne Wala Ye Swimmer Ab College Level Par Bahot Acha Perform Kar Rahe Hai. Friday Ko Huye Ek Competition Mei Inhone 13 Medals Jeete Jisme 12 Medals Bhi Shamil The. In Medals Mei Se 12 Gold Medals Bhi The.Amar Ujala Ke Sath Baat Krte Huye Veer Khatkad Ne Apne Shauk Ko Passion Banne Ke Sath Future Ka Goal Bhi Share Kiya Hai.
Olympic Ke Liye Bengaluru Mei Training Krte Huye Veer Ne Bataya Ki Shauk Ki Wajah Se Sikhi Swimming Mei Ab Career Banana Hai. Isme Badhiya Perform Karte Huye Country Ke Liye Gold Medal Jeetna Hai.
Veer Ne Bataya Ki Pune Mei 2018 Mei Hui Junior National Swimming Competition Mei 100m Freestyle Mei Gold Medal Jeeta. Inhone 50.69s Ki Timing Ka Record Banaya Waha Par. Inhone 2019 Mei Hui Khelo India Competition Ke 50m Aur 100m Freestyle Mei Inhone 2 Gold Aur 2019 Mei Thailand Mei Hui Age Group Championship Mein 50m Aur 100m Swimming Mei 2 Gold Medal Jeeta, 2019 Mei School National Mei 50 Aur 100m Mei Gold Aur 200m Mei Silver Medal Jeeta.
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.