AISE FOODS JINHE SWIMMING KE PAHLE AUR BAAD MEI KHANA CHAHIYE
Swimming ke liye food rules:
Tapta suraj ek badhiya excuse hai pool mei jump karke usme acha time bitane ke liye. But ek heavy meal ke baad pool mei jump karna ek awful decision ho sakta hai jiski wajah se bowel movement, acidity aur fatigue bhi ho skta hai. Recently, nutritionist Pooja Makhija ne swimming se pahle aur baad mei follow kiye jaane wale swimming rules ke upar ek video share kiya hai.
Swimming ke pahle kya khaye:
Pooja Makhija ke according, swimming ke pahle lighter foods jaise ki fresh fruits, nuts, curd aur caffeine ka small dose le lena chaiye. Un foods ki list di gai hai niche jinhe aap khaa skte hai swimming ke pahle.
- Banana
Banana Potassium ka ek bahot hi acha source hai. Ye aapki energy boost karta hai swimming session ke time.
- Egg
Ye protein ka ek badhiya source hai jo aapko water ke under active rahme mei bahot help krta hai aur instant energy bhi deta hai.
- Bagel
Bagel ko carbohydrate ka badhiya source maana jaata hai au rise aap peanut butter ke small dose ke saath bhi enjoy kar sakte hai. Isse aapko protein ka extra dose bhi milta hai.
- Caffeine
Aisa suggest kiya jaata hai ki caffeine ka small dose le lena chaiye swimming ke pahle kyu ki ye delay fatigue mei help krta hai aur concentration power ko bhi increase karta hai.
Swimming Ke Baad Kya Khaye:
Agar hum Pooja Makhija ke post swimming ke according dekhe toh, swimming ke baad metabolism mei 30% ka spike aata hai. Isliye ye right time hota hai heavy meals lene ka jaise ki lunch ya dinner. Wo suggest krti hai ki chicken, pasta ya koi bhi chiz jo ki heavier hai use khana chaiye. Un foods ki list jinhe post swimming khana chaiye.
- Lean Chicken
Ye protein ka ek bahot badhiya source hai wo bhi bina saturated fat ko consume kiye huye. Aap ise brown ya white rice ke saath khaa sakte hai.
- Egg
Aap egg bhi khaa sakte hai protein ke liye post swimming mei, jisse muscle recovery mei bahot help milti hai.
- Rise & Curry
Agar aap regular Indian food pasand karte hai toh rice, dal, sabji aur salad khaa sakte hai. Par make sure ki bed par jaane se pahle ek achi walk kar lein jisse digestion smoothly ho.
Swimming ke baad kaun se foods ko avoid kare:
Aisa suggest kiya jaata hai ki fatty aur spicy food ko avoid karna chaiye saath hi excessive caffeine aur alcohol ko bhi avoid karna chaiye q ki is ki wajah se swimming ke dauran indigestion aur discomfort hota hai.