Ham jante hai ki swimmer pichle 4 months se swimming pool me practice nahi kar pa rhe hai lekin ab ek rahat-bhari news samne aayi hai jo ki NIE dwara nikali gayi news hai jisme btaya gaya hai ki aane wale kuch dino me ho sakta hai Tamil Nadu ke swimmers ko 4 months baad firse swimming pool me practice karne ka mauka mil jaye, kuch national swimmers dwara request karne ke baad Tamil Nadu State aquatic association(TNSAA) ne state government se ye request kari ki swimming pool ko open karne ke liye bhi vichaar kare jisme private and un pool ko bhi jo sports development authority of tamil nadu ke hai unko bhi include karke request kari gayi thi.
Agar TNSAA ko manjuri mil jati hai to ye india ka first state hoga jaha swimmers ko swimming pool me practice karne ko milega.
TNSAA Monday ko ek baar firse meeting karegi jaha guidelines tyar hogi, ek baar guidelines tyar ho jane ke baad TNSAA pools ko disinfecting krna shuru kar degi.
TNSAA ye bhi plan kar rhi hai ki jin swimmers ki age 13 se upar hai unko phle phase me allow kiya jayega, pool me chlorine ke level ko bhi bdhaya jayega, parents ki entry ko jitna ho sake avoid kiya jayega. Ye sab isliye kiya jayega taki pool ko start krne ke process me dikkate nahi aaye – T Chandrasekaran, Secretary of TNSAA
Iske alawa bhi T Chandrasekaran ne btaya ki government ne unke details me iske bare me pucha hai, staff and swimmers ki thermal checking mandatory rhegi. Swimmers ke number ko kam se kam rakh kar pool me practice krwayi jayegi, parents ki entry ko avoid kiya jayega. Pool ko abhi 2 slots me open krne ki maang hui hai jisme morning 5.30am se 8.30am ka time hai and evening me 3.30 se 6.30pm tak ka.