Kai Logo Ka Ye Puchna Hota Hai Ki Ek Coach Ki Job Me Kya Kya Krna Hota Hai Or Ek Coach Ko Kon Si Chiz Sabse Jyada Pareshan Karti Hai To Inn Sabka Ek Hi Answer Hai Ke Ek Ideal Coach Ki Job Sirf Itni Si Hoti Hai Ki Kaise Wo Apne Swimmers Ki Performance Ko Ache Se Acha Kar Ske Or Jo Chiz Ek Coach Ko Sabse Jyada Pareshan Krti Hai Wo Hai Swimmers Ki Poor Performance Isliye Nahi Ki Swimmer Ki Galti Ke Karan Performance Me Kmi Aayi Balki Isliye Ki Coach Ne Training Me Kya Kmi Kar Di Ki Swimmer Apna Best Performance Nai De Paya, Aur Aisa Ideal Coach Aajkal Milna Kafi Muskil Hai Lekin Agar Aisa Coach Aapko Milta Hai To Uske Sath Apne Swimmer Ko Jood Kar Dekhiye, Surety Hai Ki Swimmer Kafi Tezi Se Improve Krega.
Apne Coach Ke Sath Connection Bnana
Coaching Hi Asli Teaching Hai Or Ham Sabhi Log Chahe Wo Jis Bhi Game Se Ho Apna Kafi Time Coaching Me Lgate Hai, Sabhi Coach Apne Players Ki Skills, Techniques, Racing Strategy, Or Life Skills Par Pura Dhyan Dete Hai Or Life Skills Jaise :- Kaise Nirasha Se Ubhar Kar Wapas Apne Aim Par Focus Kar Skte Hai, Kaise Negative Log Ko Phchan Ke Unse Dur Rah Skte Hai, Jab Swimmers Ek Perfect Flip Turn Ya Perfect Finishing Krne Me Expert Ho Jate Hai To Coaches Ko Bhi Acha Lgta Hai Ki Unka Student Apne Bright Future Ki Road Par Aage Bdh Rha Hai. Kyuki Swimmer Ka Bright Future Yani Coach Ka Bright Future. Isliye Swimmers Ko Bhi Hmesa Apne Coaches Ka Name Uncha Krne Ke Liye Apna Best Dena Chahiye.
Competitive Swimmers Almost 1year Practice Karte Hai Iska Sabse Perfect Example Michael Phelps Hai Jisne 365/365 Days Tak Practice Ki, Or Ham Sab Jante Hai Sirf Swimming Karke Koi Itna Nai Improve Karskta , Swimming Ke Sath Sath Hme Baki Chizo Par Bhi Dhyan Dena Hota Hai Ki Jaise Dryland Workout, Mental Workout Tab Jake Swimmer 1 Sec Break Krta Hai, Or Michael Phelps Ka 7th Gold Medal Yahi Btata Hai Ki Michael Phelps Ne Apne 365 Days Kitni Dedication Ke Sath Pure Kiye Honge Jo 1/100th Sec Se 100m Butterfly Ka Gold Uske Name Hua. Lekin Kya Michael Phelps Akele Pool Para Jata Tha ? Nahi, Micheal Phelps Ki Achievements Ke Piche Sabse Bda Hath Unke Coach Bob Bowman Ka Hai, Isliye Hmare Life Me Coaches Ki Value Kafi Jyada Hoti Hai. Kyuki Coaches Hmesa Swimmers Ke Positive Or Negative Side Ko Janta Hai Or Usko Pta Hota Hai Ki Kis Swimmer Ko Kaise Track Par Bnaye Rkhna Hai.
“Thank You” Caoch
“Thank You” Agar Aap Swimmer Hai To Please Apne Coach Kabhi Thank You Khna Na Bhule Kyuki Ye Do Word Itne Powerful Hote Hai Ki Jab Koi Coach Ye Apne Swimmer Se Sunta Hai To Usko Ek Alag Enrgy Milti Hai. Isliye Hmesa Even Wo District Level Ho, State Ho National Ho Ye International Ho Aap Jab Bhi Kuch Achieve Kre To Apne Coach Ko Thank You Jarur Khe. Sayad Aapko Iska Logic Na Smjh Aye Lekin Coaches Ko Iska Logic Jrur Pta Hoga.
Jai Hind…
Join Us:-
- Google Plus:- SwimSwam Hindi
- Twitter:- SwimSwam Hindi
- Facebook:- SwimSwam Hindi
- Pintrest:- SwimSwam Hindi
- Flipboard:- SwimSwam Hindi
- SwimSwam Hindi Whatsapp :- +91 81879 96947 Or SwimSwam Hindi
Rules:-
- Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
- Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
- Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega