Last year coronavirus pandemic ki wajah se postpone kiya gaya Tokyo Olympics ab finally Tokyo, Japan mei hone jaa raha hai aur hum sirf one month away hai itne bade event se. Jaise hi opening ceremony ki date July 23rd set ki gai hai, tab se organizers final preparations bana rahe hai safe aur healthy event ensure karane ke liye. Isme is week games ke dauran venues mei alcohol sales par ban lagane wala decision bhi included hai.
Tokyo Games Organizing committee ke head, Seiko Hashimoto ne reporters se kaha ki experts ki advice ko maante huye organizers ne games ke dauran venue par alcohol sales ko ban karne ka decision liya hai.
Japan Times ke according, Games organizers alcohol ke ko kuch restrictions ke saath sale karne ka plan bana rahe hai but initial plan ne country mei public outcry provoke kar diya.
Alcohol ban isliye hi lagaya jaa raha hai taaki crowds ko control, aur unke overall behavior aur physical contact ko control kiya jaa sake. Iske saath hi, spectators ko shout karna, kisi bhi tarah ka alcohol drink karna aur laana, aur athletes ko cheer karne ke liye air mei kuch wave karna bhi allowed nhi hai.
“Festive mood ko suppressed karna hi hoga- jo ki major challenge ban gaya hai,” Hashimoto ne kaha “Log apne hearts nei joy feel kare, but unhe loud nhi hona hoga, aur crowds ko bhi avoid karna hoga. Ye aise areas hai jaha hume creative hona padega, aur hum bahot effort laga rahe hai taaki celebrate karne ke new efforts dhund paaye.”
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.