Hyderabad ki ak 26 years ki doctor Karnataka ke Koppal district me Tungabhadra dam ke paas Tungabhadra river me tairte samay lapata ho gayi.
Police ke according, Hyderabad ke ak private hospital me kaam karne wali Ananya 3 doston ke saath trip par gayi thi. Wednesday ki subah, wo ak rock cliff se nadi me kood gayi, lekin tej bahao me bahe gayi.
Lapata hone se thik pahle liye gaye ak video me use masti ke liye paani me koodne ke liye taiyar hote dekha ja sakta hai. Background me ak awaaz uske liye reverse counting karti hui sunai de rahi hai. Koodne ke baad wo thodi der ke liye paani ke upar aai, lekin kathit taur par kuchh hi der baad paani me doob gayi.
Uske doston ne help maangi aur fire and rescue department and police ko bulaya, jinhone phir search operation start kiya. Last jankari ke according abhi tak pata nahi chal paya hai.
Koppal ke SP Ram L Arasiddi ne kaha ki police abhi bhi unki talash kar rahi hai, lekin ye confirm nahi kar sakti ki wo bach gayi ya nahi. “Fire department, police force and local swimmers ne apna search operation continue rakha hai, lekin abhi tak kuchh bhi nahi mila hai. Jab tak hum dead body recover nahi kar lete tab tak hum death declare nahi kar sakte. Wo Hyderabad se tourists the jo nadi ko enjoy karne aaye the. Unfortunately, usne jump kiya toh tej dhara me bahe gayi.”
Ye incident Gangavathi Rural Police Station ke jurisdiction ke under me aati hai, jo Gangavati me hai, jo Tungabhadra dam ke paas hai.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi