USA swimming ne US Olympic aur Paralympic Committee se coronavirus pandemic ki wajah se huye disruption ko dekhte huye 2020 Tokyo Games ko postpone karne ke liya kaha hai.
US Olympic and Paralympic Committee (USOPC) ke chief executive Sarah Hirshland ko likhe gaye letter ko USA Swimming ke Twitter feed par Friday ko post kiya gaya, swimming federation chief ececutive Tim Hinchey ne USOPC se “respectfully request” kiya ki “Tokyo Olympic Games 2020 ki postponemet ke liye advocate kare au rise 2020 mei na rakh kar 2021 mei rakha jaye.”
USA Swimming ne US Olympic chiefs ke Friday ko conference call mei kaha ki Tokyo Games ke fate ko determine karne ke liye jyada time ki jarurat thi. Is statement ke baad is letter ko public kar diya gaya hai.
USOPC chairwoman Susanne Lyons ne kaha ki American governing body agree karti hai International Olympic Committee se ki immediate decision lene ke liye IOC ko koi jarurat nahi thi.
“Jaise ye global pandemic badhi hai, humne apne athletes ko dekha hai,unke duniya upside down ho gai hai aur unke struggle dikh rahe ki training aur preparation karne ke liye unhe ways find karne mei bhi difficulty ho rahi hai aur is wajah se unke life ki biggest competitive opportunity bhi kho rahi hai.” Hinchey ne likha.
“Hamare world class swimmers hamesha ready hai kisi ke sath bhi, kabhi bhi aur kahi bhi race karne ke liye ready hai, however is summer mei is global health crisis ka koi answer nahi hai.
The United States, jo ki kaafi time se Olympic Swimming ka power house raha hai. Usne Rio Olympic Pool 2016 mei 33 medals jeete the.Unka ultra-competitive Olympic Trials scheduled ho gaye hai June 21-28 tak, Omaha,Nebraska mein.