Gary Hall Sr. Jo Ke 10-Time World Record Holder Rah Chuke Hai, 3-Time Olympian, 1976 Olympic Games US Flagbearer Or The Race Club Ke Co-Founder.
The Race Club Swimmers Ke Liye Saalo Se Yoga Par Kafi Focus Kiya Hai Or Yoga Ke Labh Ko Swimmers Tak Pahucha Kar Swimmers Ki Help Bhi Ki Hai. Yoga Se Core Strength Ko Increase Kiya Ja Skta Hai Or Iske Sath Flexibility Ko Bhi Kafi Effective Tarike Se Increase Kiya Ja Skta Hai Lekin Abhi Bhi Kafi Sare Swimmers Iske Labh Se Anjan Hai Or Aaj Bhi Time Ko Break Krne Me Struggle Kar Rhe Hai Jabki Sirf Swimming Karke Aap Ek Limit Ke Baad Time Improve Nahi Kar Skte Hai Uske Sath Sath Apko Kuch Extra Chize Bhi Karni Honi Or Yoga Unme Se Ek Hai. Or Khas Kar India Me Baat Kre Jaha Se Yoga Bna Aaj Wha Ke Jyadatar Log Hi Iska Use Nahi Kar Pa Rhe Hai, USA, China, Australia, Russia Jaisi Country Ke Swimmers Aaj Kyu Itna Improve Kar Chuke Hai? Kyuki Usko In Sab Chizo Ki Smjh Hai Ki Swimming Ke Sath Or Kya Kya Chiz Jaruri Hai. Agar Aap 3hr Practice Karte Hai To 2hr Apko Dryland Training Par Bhi Dene Honge. Aisa Bilkul Mat Sochiye Ki Agar Aap Ne 4hr-5hr Swimming Kar Li To Aapka Kaam Khtam Ho Gya. Aap Chahe Jitni Swimming Kar Le Ek Limit Ke Baad Aapka Time Improve Hona Band Ho Jayega. Swimming Me Height Ka Istemal Bhi Swimmers Thik Tarike Se Nahi Kar Pate Hai Jabki Unse Kam Height Ka Swimmers Kafi Accha Use Karke Race Jeet Leta Hai. Ye Sab Chote Chote Factors Hi Hai Jo Race Me Top 3 Swimmers Ko Baki Swimmers Se Alag Karta Hai.
Chaliye Ye To Hui Yoga Or Baki Sare Factors Ka Role Ab Dekh Lete Hai Ki Yoga Ki Kon Kon Si Pose Apko Ek Behtar Streamline Or Core Ko Strong Karne Me Help Kregi. Video Me Di Gyi Sari Pose Ko Dhyan Se Dekhe Or Usko Try Kre.
Ye Yoga Richard Hall Or The Race Club Ne Swimmers Ke Liye Khas Tyar Ki Hai Jisko Swimmers Ghar Par Bhi Kar Skte Hai Or Swimming Ke Phle Bhi. To Apne Next Schedule Me Isko Add Kariye Or Yoga Ka Labh Uthaiye. Rebecca Soni, Roland Schoeman, Junya Koga, Lexie Kelly And Zach Hayden Ye Sare Swimmers Race Club Ke Amy Hall Dwara Trained Kiye Gye Hai.
Join Us:-
- Google Plus:- SwimSwam Hindi
- Twitter:- SwimSwam Hindi
- Facebook:- SwimSwam Hindi
- Pintrest:- SwimSwam Hindi
- Flipboard:- SwimSwam Hindi
- SwimSwam Hindi Whatsapp :- +91 81879 96947 Or SwimSwam Hindi
Rules:-
- Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
- Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
- Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega